Koi ye kaise bataye ki
Wo tanha kyu hai
Wo jo apna tha wahi
Aur kisi ka kyu hai
Yahi dunia hai to phir
Aisi ye dunia kyu hai
Yahi hota hai to akhir
Yahi hota kyu hai
Ek zara haath
badha de to
Pakad le daaman
Uske seene me
sama jaye
Hamari dhadkan
Itni qurbat hai to phir
Faasla itna kyu hai
Dil e barbaad se
Nikla nahi ab tak koi
Ik lute ghar pe
Diya karta
hai dastak koi
Aas jo toot gayi
Phir se bandhata
kyu hai
Tum masarrat
ka kaho ya
Ise gham ka rishta
Kehte hai pyar
ka rishta hai
Janam ka rishta
Hai janam ka jo
ye rishta to
Badalta kyu hai
