Aaj jane
ki zid na karo
Yu hi pehelu
mei baithe raho
Yu hi pehelu
mei baithe raho
Aaj jane
ki zid na karo
Haye mar jaenge
Ham to lut jaenge
Aise bate kiya na karo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo
Tum hi socho zara
Kyu na roke tumhe
Jaan jati hai jab
Uth ke jate ho tum
Jaan jati hai jab
Uth ke jate ho tum
Tumko apni qasam
janeja
Baat itni meri maan lo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo
Waqt ki qaid mei
zindagi hai magar
Waqt ki qaid mei
zindagi hai magar
Chand ghadiya
yahi hai jo azad hai
Chand ghadiya
yahi hai jo azad hai
Inko kho kar
kahi janeja
Umr bhar na
taraste raho
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo
Kitna masoom
rangeen hai ye sama
Husn aur ishq ki
aaj meiraj hai
Husn aur ishq ki
aaj meiraj hai
Kal ki kisko
khabar janeja
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jane ki zid na karo
Yun hi pehelu
mei baithe raho
Yun hi pehelu
mei baithe raho
Aaj jane ki zid na karo
Yun hi pehelu
mei baithe raho
Yun hi pehelu
mei baithe raho
Aaj jane ki zid na karo
