Karaoke Chahun Main Ya Na von Aashiqui 2, Arjit Singh, Palak Muchhal — mit Songtext mitsingen auf Singa

SongtexteChahun Main Ya Na

Tu hi ye mujhko bata de

chahun main ya naa

Apne tu dil ka pata de

chahun main ya naa

Tu hi ye mujhko bata de

chahun main ya naa

Apne tu dil ka pata de

chahun main ya naa

Itna bata doon tujhko

chaahat pe apni mujhko

yun tto nahi ikhtiyaar

Phir bhi yeh socha dil ne

ab jo laga hoon milne

poochhu tujhe ek baar

Tu hi ye mujhko bata de

chahun main ya naa

Apne tu dil ka pata de

chahun main ya naa

Aisi kabhi pehle

hui naa thi khwaahishein

o.. kisi se bhi milne

ki naa ki thi koshishein

Uljhan meri suljha de

chaahun main ya naa

Aankhon aankhon

mein jataa de

chaahun main ya naa

Mere chhote chhote

khwaab hain

khwabon mein geet hain

Geeton mein zindagi hai

chaahat hai, preet hai

abhi main na dekhoon

khwaab woo

jin mein na tu mile

Le khole honth maine

ab tak the jo sile

mujhko na jitna mujh pe

utna iss dil ko tujh pe

hone laga aitbaar

Tanha lamhon mein apne

bunti hoon tere sapne

tujhse hua mujhko pyaar

o o..

Poochungi tujhko kabhi

naa chaahun main ya naa

tere khaabon

mein ab jeena

chaahun main kyun naa

Tu hi yeh mujhko bata de

chahun main ya naa

Apne tu dil ka pata de

chahun main ya naa

Komponist:in
Jeet Gannguli, Irshad Kamil
Songtexte
Irshad Kamil
Herausgeber:in
Universal Music Publishing Mgb Scandinavia Ab