Jism is tarah
dard se bhara
rooh ki koi
bachi nahin jagah
pyaar dhaal tha
Magar main dhaal sa
mujhe hi loot thi
rahi meri panaah
Dheere dheere jal raha
jal ke pighal raha
behta chala hai dil mera
Main hun kya
mere khud.....a
kaatun main
kyun ye sajah piy....a
Kaahe pehle milaaye
jab akhir ye judaai hai
dil se kyun khele bataa
Dekh pyaasi hai jaan
hai udaasi yahan
khaali khaali jahaan
bewajah har samaa
Lab sukhe sukhe
raina bheege bheege
rootha rootha sa mann
jis tan laage, aisi bekarari
jaane bas wohi tann
Uljha hun main
kab se, suljha
main hun kya
mere khud.....a
kaatun main kyun
ye sajah piy....a
Kaahe pehle milaaye
jab akhir ye judaai hai
dil se kyun khele bataa
Haar maane nahin
bewajah sa yakeen
yaar toh hai kahin
be-naseebi yahin
Kaise main bhulaaun
ya main bhool jaaun
beeta hua mera kal
Kahan chala jaaun
dhoond laaun
pyare apne woh pal
Tune kabhi kya ye socha
main hun kya
mere khud.....a
kaatun main
kyun ye sajah piy....a
Kaahe pehle milaaye
jab akhir ye judaai hai
dil se kyun khele bataa
