Lafz kitne hi
tere pairon se
lipte honge
Tune jab aakhiri
khat mera
jalaya hoga
Tune jab phool
kitabon se
nikaale honge
Dene waala bhi tujhe
yaad toh aaya hoga
Naaaaa
Naaaaa
Teri aankhon
ke dariya ka
utarna bhi
zaroori tha
Mohabbat bhi
zaroori thi
Bichadna bhi
zaroori tha
Zuroori tha ki
Hum dono
tawaaf-e-aarzoo
karte
Magar phir
aarzu’on ka
bikharna bhi
zaroori tha
Teri aankhon
ke dariya ka
utarna bhi
zaroori tha
Bataao yaad
hai tumko
Woh jab dil ko
churaya tha
Churaai cheez
ko tumne
Khuda ka ghar
banaya tha
Woh jab kehte thhe
Mera naam tum
tasbih mein
padhte ho
Mohabbat ki
Namaazo ko
qara karne
se darte ho
Magar ab yaad
aata hai
Woh baatein thi
mahaz baatein
Kahin baaton hi
baaton mein
Mukarna bhi
zaroori tha
Teri aankhon
ke dariya ka
Utarna bhi
zaroori tha
Naaaaa
Naaaaa
Wahi hai
sooratein apni
Wahi main hoon
wahi tum ho
Magar khoya
huaa hoon main
Magar tum bhi
kahin gum ho
Mohabbat mein
dagha ki thi
So kaafir the
so kaafir hain
Mili hain
manzilein phir bhi
Musaafir thhe
musaafir hain
Tere dil ke
nikaale hum
Kahaan bhatke
kahaan pahunche
Magar bhatke
toh yaad aaya
Bhatakna bhi
zaroori tha
Mohabbat bhi
zaroori thi
Bichhadna bhi
zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dono
tawaaf-e-aarzoo
karte
Magar phir
aarzu’on ka
Bikharna bhi
zaroori tha
Teri aankhon ke
dariya ka
Utarna bhi
zaroori tha
