Chaudahavi ka chaand
ho ya aafatab ho
Jo bhi ho tum khuda
ki kasam lajawab ho
Chaudahavi ka chaand
ho ya aafatab ho
Jo bhi ho tum khuda
ki kasam lajawab ho
Chaudahavi ka chaand
ho
Zulfe hai jaise kaandho
pe baadal jhuke huye
Aankhe hai jaise mayke
pyale bhare huye
Masti hai jis me pyar
ki tum wo sharab ho
Chaudahavi ka chaand
ho
Chehara hai jaise jhil
me hasta hua kaval
Ya zindagi ke saaj
pe chhedi hui gazal
Jaane bahaar tum kisi
shayar ka khwab ho
Chaudahavi ka chaand
ho
Hotho pe khelti hai
tabassum ki bijaliya
Sajade tumhari raah me
karati hai kahkasha
Duniya-e-husn-o-ishq
ka tum hi shabab ho
Chaudahavi ka chaand
ho
